Rainbow (indradhanush)
Aakash me indradhanush tab nikalta hai,
Jab har ek badal apna dard bayan kar chuka hota hai,
Aisi hi rang birangi ye zindagi hai janaab
Jahan har rang bada pyara sa lagta hai
Ek Indradhanush jaisi hain ye zindagi ,Jiske har rang me kuch dard to kuch Sukoon chupa hota hai.
Rango se bhari , indradhanush si yeh zindagi yuhin mat gava dena ,kya pata isme kaunsa rang tumhare liye chamka rakha hai .
Mere sawariya us uparwale ka khat h ye indradhanush, har rang mein ek sandesha chupa rakha hai.
Jis din sama loge ye rang zindagi mein ,
Khud hi ban jaoge Indradhanush zindagi mein.
Chamke ga har ek rang tumhara,dekhenge log kuch pyar bhare rang, rangeen zindagi mein .ЁЯТЧ
Nupur Pathak
Gurugram
www.letmereadyourtarot.com