Mera blog
“Mera blog ek aisa adda hai jahan shayari, chhoti-chhoti kahaniyan, aur dil ke emotions free-flowing WiFi ki tarah milte hain—bus password mat puchhna, kyunki yahan bas feel karna allowed hai!”
Main hoon Shivam Pandit, Morena, Madhya Pradesh ka ek sochne-wala insaan jo shabdon se khelta hai. Likhta hoon kyunki kuch baatein kehna zaroori hoti hain, aur kuch sirf mehsoos karna. Kabhi shayari ke zarariye, kabhi ek kahani mein lapet ke, toh kabhi ek seedhe aur sidhe-saadhe lafzon mein—mera maksad sirf itna hai ki jo padh raha hai, uske chehre pe ya toh hasi aaye, ya uska dil halka ho jaye.
Zindagi ki chhoti-chhoti baatein, dosti, mohabbat, ya kabhi-kabhi woh emotions jo keh nahi paate—sab kuch mere blog shivampanditt.blogspot.com pe milega. Yahan aake sirf padhna nahi, mehsoos karna. Kyunki kahaniyan sirf likhi nahi jati, jee bhi jati hain!