10वीं के बाद।।
Zindagi ki daur me, Pehla padaaon humne par kar liya !!
Chaatkar apne subjects, Toote foote dimag ke sath, Gyahravi ko barkaraar kar liya !!
Ki Das saal ke bachpan ke baad, Aakhir hum khade hogaye,
Wakai mein, hum bade hogaye !!
Tuition ab coaching ban jayenge,
Padhai ab course ban jayenge,
Daudti Bhagti iss zindagi mein,
Bachpan ko hum kho jayenge,
Haan, Ab hum bade ho jayenge !!
Dheere Dheere kai dost kam ho jayenge, Dheere Dheere kai tensions badh jayenge,
Hame bhatkane ke liye;
Kai galat raashtein khade ho jayenge
Haan, ab hum baade ho jaayenge……….
Haasti mushkan ke piche, sab apna dard chupa jayenge;
Bhulakar apne ateet ko, fir sab aage badh jayenge;
Swikar karke har chizon ko
Haan, ab hum bade ho jayenge !!
Das saal lag gaye, Tab jaakar haari patti ka mol samajh aaya;
School me teachers, padhle beta, kyun kehte the……..
Saala aaj samjh aaya !!
Career Career karte karte,
Saari raunakon se hum dur ho gaye; Wakai me hum bade ho gaye !!
Koi school se dur ho jayenge,
Koi shehr se dur ho jayenge,
Sahi kaha hai kisi ne,
Ek waqt ke baad, Apne dost bhi dur ho jayenge !!
Das saal ka wo rishta ab choot jayega,
Chehre ki mushkan ke saath,
wo insaan bhi dur ho jayega !!
Kaai mastiyaan kiye hai sath baith kr;
Bas yahi soch kar use yaad kiya jayega!! Kher parishtithiyon ko swikar karke,
Fir hum aage badh jayenge,
Wakai me ab hum bade ho jayenge !!
Koi kamyabi ki raah par chalenge,
to koi bhatak jayenge…….
Koi nithale baithe rhenge,
to koi paise kamayenge,
Kya yahi hai zindagi ka safar,
Chlo ab hum ise apnayenge,
Dekhte dekhte hi sahi, Ab hum bade ho jayenge !!