Chalo ek nayi shuruat krte h
Chalo ek nayi shuruat krte h
Subah ko chalte chalte sham krte h .
Aasman ko chhuti hui irado se bat krte h
Tufano se bhi dhumil na ho aisa khab bunte h
Hausalo ko bnate hai sidhiya aur nirantar badhte h .
Barish ki kichad ko samet kar naye teele ka nirman krte h
Sitaro ke bich rahkar hm sitaro sa arman rakhte h .
Chidiyo si chahchahakar ham naye basere ki talash krte h
Bhauro si chanchal bankar phoolo ka rass khud me bharte h .
Samandar ki lahare bnkar sila pr hm kal kal bahte h
Khidkiyo se khud ko ajad karke chalo titliyo sa udte h.
Udte udte chalte h kahi aur manjil se milte h jado se nikalkar ab jamin ko sajate h.
Sansanahat si hava bankar ham lahro me bah jate h
Deepak ko jalane ke liye ham bati sa hausala rakhte h
Jala dete h khud ko chirago me aur virano me roshani bharte h .
Khoj lete h khud ki kamiyo ko aur wahi dur krte h
Chalo dhul mitti ret se bani rotiya bnate h
Khud bhi khate h aur apno ko bhi khilate h
Apni astitva ki pahchan krte h aur sukun pate h .
Chalo ek nayi shuruat krte h
Subh ko chalte chalte sham krte h .
By sakshi tripathi ЁЯШН