Pyar
Pyar…..
Pyar dikhaya nahi samjha jata hai
Jaruri nahi pyar ka matlab galat ho,
pyar to vo jo kisi se bhi ho jata hai .
Kabhi kabhi mummy ki dat se pyar ho jata hai
To kabhi papa ke muskurate chehre se pyar hi jata hai
Pyar vo hai jise dikhaya nahi samjha jata hai
Mano na mano par pyar kisi se bhi ho jata hai .
Jindagi ke mod par sare dukhon ko chodkar pyar ke bare mein sochoge tb smjh ayega pyar sachme pyara hota hai .
Pyar karne ki vajah nhi hoti
Aur agar kisi se pyar karne ka koi reason hota hai to vo pyara nhi kehlaya jata hai .
Kisi ki fikar karna aur usko datna bhi pyar kehlata hai .
Mano na mano par pyar kisi se bhi ho jata hai.
Kabhi tumhe kisi ke jine ki vajah banata hai
To kabhi na hasne vale ke chehare par muskurahat la jata hai
Sabse pyar karna ghamandi nahi tumhe farishta banata hai .
Pyar ke liye rona nahi padta,
pyar to duriyon me bhi ho jata hai .
Dur hone se pyar kam nahi hota ,
balki pyar kya hai uska sahi matlab bata jata hai
Aur ek dusre ke liye jina h vo samjha jata hai .
Ek dusre se ladne mein bhi pyar chupa hota hai
Usse rishta kamjor nahi aur gehra ho jata hai .
Jisko pyar milta hai vo khushnaseeb kehlata ha
Baki pyar batane vala to bichara akele reh jata hai.
Kisi ke pyar ki kadar bhi karna ,
Kyuki vo insan apni pareshani bhulkar sirf tumhe khush dekhna chahata hai .
Mano na mano par pyar kisi se bhi ho jata hai .
– Prachi Verma