Mai pahado ki darak se bahti hu,
Mai pahado ki darak se bahti hu,
Mai har gali chorahe par milti hu,
Kbhi vishal bankar gairo ko sheetal kiya,
To kbhi simat kar apno se ja milti hu .
Mere nam hajaro hai,
Mere kam hajaro hai,
Kbhi roshan fizao ki arzoo ,
To kbhi dhundhle sitaro ka khab rakhti hu.
Ek umar ho gayi bahte bahte,
Ab mai khud ki khalish bharti hu,
Kbhi ruth jati hu khud se,
To kbhi khud se hi mai khil uthti hu .
Sare jahan ko hai samete maine,
Par ajj bhi mai tanha rahti hu.