Jal hai to kal hai
Jal hai to hamara aaj or kal hai
Jal se hi sabka Jeevan or nadiyan kal kal hain
Jal se hi prakriti or jal se hi hariyali hai
Jal bin Jeevan vyarth aur Chandani raatein kali hain
Sukh rahe hain ped sabhi aur dharti me dararein hain
Na fal hain na fool kahin bus dhool bhare fabbare hain
Na pakshiyon ki chehchahahat na pashuon ki pukarein hain
Bus sannata hi sannata aur logon ki chitkarein hain
Jal hai to hamara Jeevan hai ham sabhi jaante hain
Na bhukh kahin na pyaas kahin ham sabhi mante hain
Kheton me hariyali hogi Jeevan me khushhali hogi
Rang birange foolon se saji har shakh har dali hogi
Dharti karke shringaar sada degi hamko aashish
Karke jal ka uchit sewan aa ham bhi uthayein sheesh
Aao dete hain ek vachan na vyarth karein ham jal
Jal hi hamara Jeevan hai jal hi aaj aur kal
Purnat : maulik swarachit Srirangam
Annu Vishwakarma
Faridabad, Haryana