Anand mantra
Abhiman ko tu chhod de
Patan ke mukh ko mod lein
Insaniyat ki kadra Kar
Lalach nahi tu Sabra Kar
Tera bhi din aayega
Thoda tu dhairya rakh
Achhe karm Teri hai pahchan
Dhan lobh kshobh sab is dhara ka hai bas maan
Ahankar ko tu chhod de
Patan ke mukh ko mod de
Sadharan Tera vyaktitva ho
Charitra Tera suchitva ho
Buddhi bhi pavitra ho
Mahak uthe tu Jahan me jaise surbhit itra ho
Khud ke tum Mitra ho
Dusre par bharosa chhod do
Dhokha vishwasghat ko andar se thook do
Chhal kapat dwesh dambh jhuth ki na Kar kamana
Jo bhi aaye Zindagi me datkar Karo samana
Niyat ho Teri saph, suddh ho bhavna
Apmaan ka badla lo khud badal Kar rakh do
Nazar uski khud jhukengi
Aisi kamayabi ka choomo tum Aasmaa
Sitare bhi chamakate hai
Khud jalkar bikherate jyotsana
Kaun hai yaha karm ke shivay Tere
Khud he karna yaha khud he hai jhelna
Yaad rakhna sab tum apni avhelna
Wakt aane par tum achhe se unhe relna
Rota kyun hai bas wakt abhi kamzor hai
Sabra rakh aage Tera he daur hai
Tere aage na kisi ka thikana thaur hai
Tu he apne jivan ka bhor hai
Wakt ke aage na kisi ki zor hai
Ye to Gam kuchh bhi nahi Zindagi me aur hai
Lahro ki pahchan samandar hai
Aag to bas jwalamukhi ke andar hai
Tu gahraiyo ka hai lashkar
Unka to bas kinaro par chhor hai
Jalne de Jo jalta hai
Pighlane de Jo pighlata hai
Tu bas apne he dhara me bahate rah
Thahare jal me bandh banana hai bahut aasan
Jharane me bhi Jo bandh bana do uski he hai bas pahchan
Prakritik se jud ke dekh
Swashth hoga tu sada
Aalasya ko bas chhod de
Aahar tu supachya lein
Alag apna vyaktitva ho
Har chiz par prabhutva ho
Narak ke path ko chhod dein
Sakaratamakata par zor dein
Safalata ki jidd ho, hod sab kuchh karne ki siddh ho
Dreeshti bilkul giddh ho
Sharir se na kabhi vreedh ho
Khoon se nahi junoon se chalta hai tan Tera
Badaal bas dhua hai Surya se chamakta hai aasmaa
Anand ki baat tu maan lein
Darr ko tu ukhad dein .
Maut aayegi tabhi jab Tak upar Wala na chahega
Hunkar dein anyay ke sahyogio ko fan failane se pahle maar dein
Kamyabi he Tera shreengar hai Gyan he Tera hathiyaar hai
Jiske pass hai ye Astra
Samman paye vo sarvatra
Dhan to ek sanchar hai
Sabse pada punya upkar hai
Madad uski na Karo Jo mad me madmast ho
Jang hai harata vahi
Aatmvishwas jiska Mar chuka
Marne se pahle vo is duniya se guzar chuka
Maza ke na Patra bano
Banana hai to sandhipatra bano
Yuddh ko viram do prabuddh ka sopan do
Janta chahe Jo uska pura farman Karo
Satta na jayegi haath se kabhi bas desh ka dhyan rakho
Striyo se door raho vasna ka Kendra Jo
Soch hai tumhari Jo stri vaise hai Roop mein
Anand sharir ko na aaram do kaam aviraam lo
Aatma Azar Amar hai marne ka na naam lo
Pyar se har samsayo ko suljhaoge
Hamesha tum sabse behtar Kar paoge
ЁЯЩПЁЯЩПRJ Anand Prajapati ЁЯЩПЁЯЩП