Ye ayina tumhari khubsoorti nhi niharta,
Ye ayina tumhari khubsoorti nhi niharta,
Ye tumhare shringar ki sahuliyat dekhta hai,
Kal tumhare me jo gathari thi samai,
Wajan uska ye har bar karta hai,
wakt ke sath kitne tamiz-dar hone lage tum,
Wakt se jayda ye tumko padhta hai.
Ye ayina tumhari khubsoorti nhi niharta,
Tumhare andar khali pade jajbat dekhta hai,
Ye ayina tumhe mayus nhi karta,
Tumhari shakshiyat se tumhe roobaru karata hai.
din ke ujalo ki kiran ki raunak me,
Jb tum behisab chamakte ho.
Aur rat ke adhere me bujhe suraj se dhalte ho,
Ye tumhari akho me kbhi nami nhi deta,
Unke samandar se tumhara didar karata hai.