Meri paheli
Ab rishte nibhate nibhate is padav par pahuch gyi , ki kisi rishtedaro se milne ka man nhi krta.
Jo barso pahle ke khab the chhote chhote sab pure hone se lage the , ki bade khab dekhne ka ab man nhi karta.
Kayi bar lgta hai ki kamiya hmare me hai , kabhi jo man akela rahta tha , ab us tanhai ko bharne ka man nhi krta.
Bahut piche chhut gyi , bachpan ki hasi thitholi, ab aur hasne ka man nhi krta.
Itne bhari bojh tale dab kar rah gyi hai jindagi ki ab karj tale dabne ka man nhi karta.
Raste chahe jo bhi ho pahle josh me chal lete the ham , akele ab chalne ka man nhi krta.
Ek umar ke padav ka asar sab par hota hai, ya bus mera hi mann mera hone ka nhi krta . ЁЯШН
By sakshi