Mat jao
Pahle bhi har bar chale jaya karte the tum,
Par awaj dene par laut bhi ate the tum.
Tumhari narajagi pahle bhi hoti thi mujhse,
Phir bhi pyar se man jate the tum.
Pyar thoda gahra sa hai mera,
Par har dafa isme dub jate the tum.
Aadat samjhkar bhulna chahte the mujhko
Par har dafa ruk bhi jate the tum.
Na jane uss rain kya khata kar gayi mujhse,
Jo pass bhi ane se katrane lage tum.
Patjhad ke mausam the jub hum mile the,
Barsat ke lamhe me bhi thahar na paye tum.
Har jatan kar liye tumhe apne yado se mitane ki,
Par har bar khayalo me aur ghar kar jate ho tum.
Suno, bahut hua khel ruthne ka , naraj hone ka,
Ab manati hu , wapas aa jao na tumЁЯШН .
By sakshi .