Budhape ki lathi samjhi
Budhape ki lathi samjhi
Jisko pala pyar se
Usne hi hath chhudakar
Budhape me matlab sadh liya
Jis raho me sangharsh shuru h
Aant bhayanak , sukun nhi hai.
Virdha ashram ki wo sidhiya
Jinpar apno ke bachpan ki ummed nhi hai.
Jimmedari nibhane ke daur me
Apna palla jhad liya
Chhod diya us khuda ko akele
Jisne tujhe tera adhikar diya.
Khab kinare chur chur kiye ,
Kbhi unse hissa maga,
Kbhi unhe hi hisso me bat liya.
Moh maya sb dhari rah gayi ,
Duniya dari sann rah gayi
Jb khud ki aulad ne hi
Khud ke maa bap par atyachar kiya.
Kbhi rulaya kishto me unhe,
Kbhi gamo ki barsat kiya.
Unke khajane ko apnakar ,
Unka hi bhahishkar kiya.
Jisne apni mutthi khali kardi tere parvarish me
Kimat laga kar tumne unke sneh ka apman kiya.
Muddat bad samjh aya ki kimat kiski hai,
Uss hatheli ki nhi jisne tujhe khilaya
Uss roti ki hai jisse tu khata chala gya.