Bachpan ke sapne hajar
Bachpan ki god me khel kar badi hoti mai
Khuch adhure khuch dhundhale chadar se nikalti mai
Jugnuwo ke rato se hote hue suraj ki kirano tak gujarti mai
Swet dhara si asman se niche utarti mai .
Jo bhi rah milte sb par barabar chalti mai
Khuch kamre se pure jahan tak ka safar krti mai .
Khuch bundo ko sajo kar pure sansar me bharti mai .
Khuch kaliyo ko chun kar nayi dali ka nirman krti mai
Khuch ghughruwo ki tan se nye dhun ko pravah krti mai
Bachpan ke in khabo ko abhi bhi bada sambhal kr rakhti mai .
Tut jate jb mitti ke diye tb naye diye ka nirman krti mai .
Kbhi shital to kbhi lakdi ki tarah jalti mai
Kbhi dhup to kbhi chhav me chalti mai
Kbhi kinare to kbhi bich majdhar tak basti mai
Kbhi sukun to kbhi tanav sahan karti mai
Kbhi udas to kbhi khushiyo ka sanchar karti mai
Bachpan ki god me khel kar ab badi hoti mai .
Khuch adhure khuch dhundhle chadar se nikalti mai . ЁЯШН… By sakshi .