Ajeeb hai ye duniya
Kab kya ho jaye kuch keh nahi sakte
Phir bhi kese hai na hum jo hamesha ek dusre ka bura hi karte
Kyu karna kisi ka bura yaar
Acha acha socho na sabke liye tabhi to milega dher sara vala pyar
Kitne khudgarz hote hai na sab naam kamane mein
Ye bhi bhul jate hai ki koi hai unka uske liye dua mangne mein
Kabhi kisi ki madat karke dekho
Bahut dua milegi
Jisse us insan ke chehre par tumhari vajah se muskan khilegi
Yaha har koi kam apne suwarth ke liye karta hai
Tabhi to kabhi bp to kabhi heart ki bimari ki vajah se hospital mara mara firta hai
Kyuki bhagavn ke nam jao to ajki duniya koi koi hi karta hai
Yaha khushi se koi ni jita hai
Yaha har koi ek dusre ki nakal aur uske jesa kese ban bas yahi sochta phirta hai
Kya ajeeb hai ye duniya
Yaha koi khudke liye khush nahi rehta hai
– Prachi Verma