Wakt ke pahredar
Koi abhi janam le raha hai,
Koi apni akhiri sase gin raha .
Koi baitha h shringar ki lajja me,
Koi safed sadi me simat rha .
Koi rasmo ki reet saja raha hai,
Koi bandisho se nikal raha .
Koi aagan me tulsi bann rha hai,
Koi kichad me kamal khila rha .
Koi duniya ki mutthi me hai samaya,
Koi duniya ko mutthi me kar raha .
Koi nirantar koshish kar rha wajud se milne ki,
Koi badhte tufan se gujar rha.
Koi bheed ka hissa bann rha hai,
Koi bheed se aage badh rha .
Koi shikayat ki potli samete baitha hai,
Koi gyan ke prakash ko faila rha.
Koi apni ek khahish jahir kar rha,
Koi use taumar nibha rha .
Koi bato ka wajan bana rha,
Koi bina bole hi kar ke dikha rha.
Koi baitha hai shital hawao me,
Koi usme kal kal bah rha.
Wakt ka pahiya ghum rha pal pal,
Koi ruka hai koi har chhad badal rha.
Ek dusre se aage badhne ki aad me,
Manav samaj khud se hi piche rah gya.