Dosti.
Dosti ek khubsurat ahsas hai,
Jo dil ke sbse karibi jajbat hai,
Jisme ruthne manane ki koi jarurat nhi hoti,
Ajj alag hai to kal fir sath hai.
Dosti ek khubsurat ahsas hai
Jisme na kisi ko parkha jata hai
Na ek dusre ke prati dwesh ki bhawna hoti h.
Yhi bus ek rishta hai
Jisme koi shart nhi hoti.
Premi premika to samaj se chhup kar prem krte h
Lekin dosti samaj ke kadam se kadam mila kar ki jati hai
Jisme na koi pakshpat , na koi jati dharam hota h
Ye kartavya ke bojh tale dabane wale sbhi rishto ka khandan krti hai
Isme ek dusre ke prati imandari hoti h bus.
Isko kisi aur ki koi jarurat nhi hoti
Sri krinshna ko bhi premi bnkar premika ka tyag karna pada tha
Par ek mitra bankar wo sudama ka tyag na kar paye.
Yahi asli prem hai , jaha na khuch kisi se iksha hoti hai , na kisi se koi chahat hoti h.
Bus sansar me 2 yoni se janme prani ek aise bandhan me badh jate h jisse chhut pana asambhav hota hai.
Tumhare dukh ko batane se pahle jo samjh jaye
Tumhare pass ane se jo na katraye .
Chahe kitni bhi musibate ho ,
Hmesha tumhara sath nibhaye.
Badle me khuch chahe to tumhari khushi,
Aur baki sabhi bhawnao ko dur bhagaye.
Dosti ek khubsurat ahsas h ,
Jo ise samajh gya ,wo pure brahmand me sbse khas hai.
Jisne ise pa liya jivan me,
Wo sach me sabse dhanwan hai .