Bachpan , ek umar nahi hai,
Bachpan , ek umar nahi hai,
Taumra jinda dil hone ka ahsas hai.
Log kyu kahte hai , ki bachpana bachpan tak thik hai. Mai kahti hu,
Samjhdar bankar log apni maryada bhul jate hai.
Bachpan me jis maa bap ka hath pakad kar chalte the,
Samay ke sath us hath ko kisi aur ke hawale kar ate hai(vridhashram).
Bachpan me jo khab hote hai ,
Samjhdari me na jane kyu chahat bann jati hai.
Bachpan me koi kisi ka karjdar nahi hota,
Samjhdari ki hodd me khushiyo ki bali chadhate hai.
Bachpan me dusre ki muskurat bann jate the.
Ajj samjhdar hokar khud muskurana bhul jate hai.
Khuch ata nahi tha bus udan ki umeed thi,
Ajj udte h asman me fir bhi shikayat hai.
Ye bachpan to bus ek nam hai
Is nam ko jisne pakde rakha , wahi mahan hai.