Atam vishwas
Yakin khud par na ho
To ye jamana kis kam ka.
Hausla apni udan par na ho ,
To ye asman ki kam ka.
Teri kismat ka faisla tu na kar sake,
To teri kamiyabi kis kam ki .
Bajuwo ko apne jab tu na sawar sake,
To ye vayayamshala kis kam ka.
Tere asuwo ka jimmedar koi aur ho
Tb teri khushi kis kam ki.
Logo ke jajbat samjhal kar rakhne wale
Bata tere ye jajbat , kis kam ke.
Khahish jo teri juban par na ho,
Dabi khamoshi kis kam ki.
Kurbani jo tune na diya karmo ka
To ye fal ki abhilasha rakhna kis kam ka.
Muskurahat ki wajah na bn paya jb tk
Gairo ke mahfil me , teri hasti kis kam ki.
Jb tak gir kar uthna nhi sikha
Sambhalna gairo ki baho me kis kam ka.
Ajj hai jo tere khas kal nhi honge,
To tera unpar aashrit rahna kis kam ka