Najarandaj
Char khilone mitti ke
Mutthi bhar khab bune,
Bachpan ki in khushiyo ko ,
Kaise koi najar andaj kre .
Char kitabe khabo ki,
Char samose thele ke ,
Melo ke un jhulo ko ,
Kaise koi najar andaj kre.
Char mukhote risto ke
Char jaruri bato ko ,
Rishtedaro ke tano ko ,
Kaise koi najar andaj kre.
Char mithai laddo ke,
Char sitare jugnu se ,
Khabo ko jo chamkaye ,
Kaise koi najarandaj kre .
Char dishaye raho ki,
Phoolo ke bagano ki
Apne jo kbhi datt lagaye,
Kaise koi najarandaj kre.
aasmano ke taro ko ,
Kaise koi najarandaj kre ЁЯШН.
By sakshi .