Ek nari ka sawal , dusri nari se
Kbhi kbhi jindagi itni mushkil ho jati hai ,
Ki hame samajh hi nhi ata ki rah kon si chune.
Jis rah par ham chalte hai wo sahi hai bhi ya nhi , ya isse behtar khuch aur hai hmare liye.
Khud ke faisle itne mukhatib hote to shayad kismat khuch aur hoti .
Hame apne alfajo ko kagaj par baya krne ki jarurat nhi hoti .
Koi sunne wala hota hmari bate , to hame
Khud ko likhne ki u jarurat na hoti.
Log jajbat badi asani se padh lete h aur agar wo jan gye ki hamare liye wo behad kimati hai,
To har bar ek naya jakham dete h hame,
Shayad hmari sahanshilata ki pariksha lete hai
Ya hmare par aaitbar krne se pahle hame aagah krte h ki ham paraye h unke, apne nhi . Chot bar bar hami khate hai, fir bhi har riste ho nibhana bakhubi jante hai.
Ek maa, beti, bahan, dost, biwi sb ki door ko itni jatilata se jakad lete hai
Ki hami apne bnaye maya ke bhawandar me fas kar rah jate hai.
Badle me bus thoda sa samman , thoda sa pyar ki hi to umid krte h ,
Kya hmari aisi umeed rakhna galat hai ,
Agar hai to ye jimmedariya sirf hmare hisse me hi kyu ,
Kyu sare bandhan hmari jholi me hi aur sare niyam kayde hmare khilaf hi bnaye gaye hai .